Lyrics Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Ali Maula Ali Maula Ali Dam Dam

Ali imaam-e-manasto manam Ghulaam-e-Ali

Hazaar jaan-e-giraamii fidaa-e-naam-e-Ali

Haidariam qalandaram mastam

Bandaa-e-Murtaza Ali hastam

Peshvaa-e-tamaam virdaaram

Ke sage kuu-e-sher-e-yazdaanam

Kabhii diivaar hiltii hai, kabhii dar kaanp jaataa hai

Ali kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaanp jaataa hai

Shaah-e-mardaan Ali

Ali Ali Ali

Ali Maula Ali

Patthar pe alam deen ka garaa jisne

Lalkaar kar Marhab ko pichaaraa jisne

Haq

Ali Ali Ali

Ali Maula Ali

Jap le jap le mere manvaa

Yahii naam sacchaa hai pyaare

Yahii naam tere sab dukh haare

Isii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol

Shaah-e-mardaan Ali

La fataa illah Ali

Sher-e-yazdaan Ali

Tan par Ali, Ali ho zubaan par Al Ali

Mar jauun to kafan par bhii likhna Ali Ali

Baghair hubb-e-Ali muddaa nahiin miltaa

Ibaadaton kaa bhii hargiz silaa nahiin miltaa

Khudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa kii qasam

Jise Ali nahiin milte use Khudaa nahiin miltaa

Basad talaash na ab kuch vusat-e-nazar se milaa

Nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa

Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamen

Khudaa ko dhuundha to vo bhi Ali ke ghar se milaa

Diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii

Hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii

Gul-e-tathiir Ali

Haq kii shamshiir Ali

Piiron ke piir Ali

Dast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa Ali

Maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali

Jis tarah ek Zaat-e-Muhammad hai be-misaal

Paidaa huaa na hogaa koii duusraa Ali

Bedam yahii to paanch hain maqsuud-e-qaaynaat

Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali

Haq

Ali Ali Ali

Ali Maula Ali